hadees ka hawala means, reference. konsi hadees ki kitaab me parrha? ya khwateen digest me parrha?
aap ki ooper ki baaton par buhat se cross questions hain.
pehli baat ke 124 000 paighamber kion bheje gaye? aik hi aana chahiye tha phir to. uss ke baad saare khud hi faisla kar lete kidher jana hai. magar 124 000 aate gaye aur kissi ko aqal nahi aayi aur aakhir thakk haar ke nauzubillah kya ab bhejne hi band kar diye kya?
mere khayal me to Allah ki sunnat hai nabi bhejna, aur kiss tarahn insanoN ko hidayet dee hai. mostly yehi tareeqa hai Allah ka, jisse AAP ne band kar diya, halanke Allah ko khud band karna chahiye.
phir yeh ke aaNhazrat Mohammad (saws) ke aane se pehle bhi to ache log maujood the. even quran me yahood ke kuch logoN ko bhi Allah ne acha qaraar diya. to phir AaNhazrat MOhammad (saws) ko kioN bheja gya?
phir yeh kay, kya Hazur Mohammad (saws) ke aane se pehle wilayat khatam thi kya? agar nahi, to phir nabuwwat kion aayi, wilayat par hi guzara kar lena tha, aur agar pehle band thi wilayat to phir saabit kijiye ke hazrat Mohamamd (saws) se pehle ke log ya tosiraf nabi hote the ya normal se insan aur koi wali tha hi nahi unn me. jabb ke sab musalman hazrat Ibraheem (as) ko wali-ullah ka khitaab dete haiN.
aur yeh baat generaly hi aap samjha deejiye ke quran me kahaN likha hai ke wilayat hi siraf qaayem rahe gi? matlab yeh ke aik sunnat hai Allah ki, jo shuroo se rahi hai, uss ko AAP kiss bina par aik damm se band kar rahi haiN, jabb ke phir bhi aap hazrat Mohammad (saws) ke bad bhi aik nabi ka to intizaar kar hi rahe haiN. ya nahi?
siraf sawal hi sawal hain, bass koi jawab nahi deta, koi hawala nahi deta, siraf dogmatic answers haiN, na koi logic, na koi filosofic and na hi koi religious.
goya zidd to aap par KHATAM hai. (this doesnt mean ke aap ke bad koi ziddi nahi aayega, this means ke aap sabb se barri ziddi ho, hehehe joke kiya hai aqal wala)
Please read this note about my opinion